Lyrics
Teri zindagi ko zindagi banane aaya paisa
Yeh rangeen duniya ko rangeen banane aaya paisa
Andhere kamro mein batti jalane aaya paisa
Sapne tere sacche karake dikhane aaya paisa
Bin tere bhi jeene ka aaya hain
Jo chaha tha tune vo paaya hain
Sab paiso ki lila hain maaya hain
Pathjar ka bhi mousam lade sawan jaisa
Zindagi ko zindagi banane aaya paisa
Yeh rangeen duniya ko rangeen banane aaya paisa
Andhere kamro mein batti jalane aaya paisa
Sapne tere sacche karake dikhane aaya paisa
Jo tere shouk hain shouk se aaj pure karale jara sabhi
Baki na rehjaaye kuch kasar aage ka tera hain lamba safar
Yahan se nahi dekhega tu piche mood ke kabhi
Hum tere tu piche chod aaya hain
Aur muskoorana tujhe aaya hain
Sab paiso ki lila hain maaya hain
12 ko bhi dekho laage 52 jaisa
Tere jeevan ke chakke ghumane aaya paisa
Teri bekaari ke chakke chudane aaya paisa
Andhere kamro mein batti jalane aaya paisa
Sapne tere sacche karake dikhane aaya paisa